Sunday 25 November 2012

Yeh Muskura Kyun Rahi Hai?


Maatam manaati muskaan.
Honth kuchh zyada hee laal hain.
Mez per rakhi lipstick toh kaali hai.
Shayad khoon peeya hai.
Halka sa cut laga hai.
Pyaala toota hua hai.
Yeh muskuraa kyun rahi hai?
Aaj subah hee kisi ne bola thaa,
moochh ke bina ajeeb lagta hoon.
Yeh dekh rahi hai kya?
Nahin. Aankhein bandd hain.
Iski duniya andhere mein hai.
Teri duniya kaunsi jagmagaa rahi hai?
Teri toh aankhein bhi khuli hain na?
Kisi ne bataaya thaa,
iski aankhein neeli hain.
Neeli?
Uski bhi aankhein neeli theen.
Jhooth bolti, aur neeli ho jaati.
Uskey toh aansoo mein bhi cheeni ghuli thee.
Abhi bhi muskuraa rahi hai.
Neeli aankhon ke sapney.
Achha hai, bandd hain.
Toote pyaale ki dhaar tez hai.
Gira hoga zaroor.
Mere haath se bhi gira thaa pyaala,
uss din usko darwaaze se baahar jaata dekh.
Whiskey?
Rum?
"Zeher hai sir."
Kambakth uss din zeher kahaan thaa?
Yeh abhi bhi muskura rahi hai.
"Postmortem ke liya bhijwaa do.
Aur haan.
Aankhein matt kholna."

1 comment:

  1. Dil cheer diya aapki kavita ne...reading all over again now

    ReplyDelete