Friday 11 November 2011

Aaj Chaand Dekha?

Bachpan mein kai baar suna hoga, naani ya daadi ke munh se, unki kahaaniyon mein, ki duur se chaand dekho, toh ek khargosh dikhega. Ya ek budhiya dikehgi jo charka chalaa rahi hai. Aaj ki poem ne naani daadi ke unhi kisse kahaaniyon se kuchh elements udhaar liye hain.
-------------------------------------------------

Aaj chaand dekha?
Haan.
Kya dikha?
Budhiya charkha kaat rahi hai.
Aur?
Aur koshish kar rahi hai
rishton ke toote dhaagon ko jodne ki.
Shayad unmein se ek dhaaga
uske uss ladke ka hai
jo pardes chala gaya
na kabhi waapis aane ke liye.
Aur yahaan yeh budhiya
har gaanth ke saath
uske waapis aane kee aas
kho deti hai.


Aaj chaand dekha?
Haan.
Kya dikha?
Khargosh.
Aur?
Aur uski muskuraahat.
Kuchh ajeeb see hai lekin aaj.
Woh masoomiyatt gayab see lagti hai.
Shayad ooper se insaanon ki harkatein
kuchh zyada hee der tak
dekh lee hai isney.
Aur har harkat ke saath
kho deta hai woh
apni pyaari muskaan.

Aaj chaand dekha?
Haan.
Kya dikha?
Utna safed nahin hai.
Aur?
Kuchh peela sa pada hai chaand.
Beemaar lagta hai.
Raat ka sooraj bann-ne ki chaah mein
lagta hai
thakk gaya hai bechaara.
Competition bahut hai duniya mein.
Aur har imtihaan ke saath
kho deta hai woh
safed chandni ka saath.

Aaj chaand dekha?
---------------------------------------
-Prateek
12/11/2011

6 comments:

  1. Lagta hai, tumhe chaand me aaina dikh gaya. Nicely written.

    ReplyDelete
  2. kya likhte ho ... bahut khoob :)

    ReplyDelete
  3. Thanks for the kind words, both of you :)

    ReplyDelete
  4. Just stumbled upon your site. Very nice... good to see, poetry is still alive in our youth. And, you have a great style. Keep it up! I will come by and read.

    ReplyDelete
  5. Thank you, kind mademoiselle.

    ReplyDelete
  6. What grt thoughts. Very well written... Kuch taaron ko hila ke rakh diya aapne.

    ReplyDelete